Tuesday, 19 July 2011

badal tu kyun ro raha itna

Aye badal tu kyun ro raha hai itna

duniya mein diljale aur bhi hain
sirf tera hi nahi toota hai pyara sapna

kabhi meri nam aankhon mein bhi jhaank ke dekh
teri barsaat se mere aasu hai jyada kitna

agar suraj ne tujhe bebas kiya hai rone ko
mat bhul kabhi begane hi dard samjhte hain apna

tere rone se pahle kaale baadlon ke saaye mein
sabko lagta hai mausam bada suhana

teri in aasuon se duniya wale khush hote hain
koi nahi samjh payega tere rooh mein dard hai kitna

tu yoon na roya kar, majboot kar apne dil ko
har aashiq ko mohabbat ki aag mein padta hai tapna

ye badal tu kyun ro raha hai itna

Monday, 18 July 2011

ilzaam

Yoon tu humpe sharabi hone ka ilzaam na laga
mera nashe mein hona tere madhosh aankhon ka kasoor hai

bhale hi hum kitne haseenao ke saath ghum le
dil ko teri kami ka ehsaas zaroor hai

kitna bhi samjhaye hum apne zazbaat ko
dil pe chaya sirf tera hi suroor hai

tu jo apne ko duniya ki apsara samjhti hai
kaisa ajeeb  ye tera guroor hai

hum lakh chah ke bhi nahi kar sakte kisi aur se pyar
mera pagal dil bahut hi majboor hai

bin tere hum kaise ji payenge zindgi
manzil abhi bahut hi door hai

bhatak na jaye hum kahin virane safar mein
in andhere raaston pe sirf tera hi ek noor hai

dil pukarta hai tujhe chale aao ab to
kyun tu ab bhi apne ghamand mein choor hai

Yoon tu humpe sharabi hone ka ilzaam na laga

Sunday, 17 July 2011

Dil aakhir tu kyun rota hai

Jab jab dard ka badal chaya
jab gam ka saaya lahraya
jab aasu palkon tak aaya
jab ye tanha dil ghabraya
humne dil ko ye samjhaya
dil aakhir tu kyun rota hai
duniya mein yoon hi hota hai


ye jo gahre sannate hain
waqt ne sabko hi baatein hain
thoda gam hai sabka kissa
thodi dhoop hai sabka hissa
aankh teri bekar hi nam hai
har pal ek naya mausam hai
kyun tu aise pal khota hai
dil aakhir tu kyun rota hai

Zinda ho tum

Dilo mein tum apni betaabiyan le ke chal rahe ho to jinda ho tum
nazar mein  khwabon ki bijliyan le ke chal rahe ho to jinda ho tum
hawa ke jhonkon jaise azaad rehna seekho 
tum ek dariya ke jaise lahron mein behna seekho
har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
har ek pal ek naya sama dekhe ye nigahein 
jo apni aankhon mein hairaniyan le ke chal rahe ho to jinda ho tum
dilo mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho to jinda ho tum

alfaz

Zubaan hi sirf ek zaria nahi
Jo aap lafzon ko samajh paayenge
kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye
Hazaro alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge

Tuesday, 12 July 2011

Teri nazar

In nazron se yoon na madhosh karo hume
bahut thokre humne khayi hai sanam
Ab dil humara dhadhkne se bhi darta hai
aur na barsao humpe julm-e-sitam

Thursday, 7 July 2011

Chemistry

Na chemistry hoti na main student hota
na ye LAB hoti na ye accident hota
abhi practical mein aaye nazar 1 ladki
sundar thi naak uski test tube jaisy
baaton mein uski glucose ki mithaas thi
saason mein ester ki khushboo bhi saath thi
aankhon se jhalkta tha kuch is tarah ka pyaar
bin piye hi ho jata tha alcohol ka khumar
benzene se hota tha uske presence ka ehsaas
andhere mein hota tha radium ka aabhas
nazrein mili, reaction hua
kuch iss tarah pyaar ka production hua
lagne lage uske ghar ke chakkar aise
nucleus ke chaaro taraf electron ho jaise
us din humare test ka confirmation hua
jab us ke daddy se humara introduction hua
sun kar humari baat wo aise uchal pade
ignesium tube mein jaise sodium bhadak utha
wo bole, hosh mein aao,pehchano apni aukaat
Iron mil nahi sakta kabhi Gold ke saath
ye sunke toota humara armano bhara beaker
aur hum chup rahe benzaldehyde ka kadwa ghoont pikar
ab uski yadon ke siwa humara kaam chalta na tha
aur lab mein humare dil ke alawa kuch jalta na tha

Saturday, 2 July 2011

Tere naam

Barso baad tera naam labon pe yoon aaya
                                               raat bhar aankh band rahi par neend na aaya
                                                        zindgi to jee lenge bin tere bhi
                 kya hua jo tera patthardil mera ho na paya