Tuesday, 19 July 2011

badal tu kyun ro raha itna

Aye badal tu kyun ro raha hai itna

duniya mein diljale aur bhi hain
sirf tera hi nahi toota hai pyara sapna

kabhi meri nam aankhon mein bhi jhaank ke dekh
teri barsaat se mere aasu hai jyada kitna

agar suraj ne tujhe bebas kiya hai rone ko
mat bhul kabhi begane hi dard samjhte hain apna

tere rone se pahle kaale baadlon ke saaye mein
sabko lagta hai mausam bada suhana

teri in aasuon se duniya wale khush hote hain
koi nahi samjh payega tere rooh mein dard hai kitna

tu yoon na roya kar, majboot kar apne dil ko
har aashiq ko mohabbat ki aag mein padta hai tapna

ye badal tu kyun ro raha hai itna

Monday, 18 July 2011

ilzaam

Yoon tu humpe sharabi hone ka ilzaam na laga
mera nashe mein hona tere madhosh aankhon ka kasoor hai

bhale hi hum kitne haseenao ke saath ghum le
dil ko teri kami ka ehsaas zaroor hai

kitna bhi samjhaye hum apne zazbaat ko
dil pe chaya sirf tera hi suroor hai

tu jo apne ko duniya ki apsara samjhti hai
kaisa ajeeb  ye tera guroor hai

hum lakh chah ke bhi nahi kar sakte kisi aur se pyar
mera pagal dil bahut hi majboor hai

bin tere hum kaise ji payenge zindgi
manzil abhi bahut hi door hai

bhatak na jaye hum kahin virane safar mein
in andhere raaston pe sirf tera hi ek noor hai

dil pukarta hai tujhe chale aao ab to
kyun tu ab bhi apne ghamand mein choor hai

Yoon tu humpe sharabi hone ka ilzaam na laga

Sunday, 17 July 2011

Dil aakhir tu kyun rota hai

Jab jab dard ka badal chaya
jab gam ka saaya lahraya
jab aasu palkon tak aaya
jab ye tanha dil ghabraya
humne dil ko ye samjhaya
dil aakhir tu kyun rota hai
duniya mein yoon hi hota hai


ye jo gahre sannate hain
waqt ne sabko hi baatein hain
thoda gam hai sabka kissa
thodi dhoop hai sabka hissa
aankh teri bekar hi nam hai
har pal ek naya mausam hai
kyun tu aise pal khota hai
dil aakhir tu kyun rota hai

Zinda ho tum

Dilo mein tum apni betaabiyan le ke chal rahe ho to jinda ho tum
nazar mein  khwabon ki bijliyan le ke chal rahe ho to jinda ho tum
hawa ke jhonkon jaise azaad rehna seekho 
tum ek dariya ke jaise lahron mein behna seekho
har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
har ek pal ek naya sama dekhe ye nigahein 
jo apni aankhon mein hairaniyan le ke chal rahe ho to jinda ho tum
dilo mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho to jinda ho tum

alfaz

Zubaan hi sirf ek zaria nahi
Jo aap lafzon ko samajh paayenge
kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye
Hazaro alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge

Tuesday, 12 July 2011

Teri nazar

In nazron se yoon na madhosh karo hume
bahut thokre humne khayi hai sanam
Ab dil humara dhadhkne se bhi darta hai
aur na barsao humpe julm-e-sitam

Thursday, 7 July 2011

Chemistry

Na chemistry hoti na main student hota
na ye LAB hoti na ye accident hota
abhi practical mein aaye nazar 1 ladki
sundar thi naak uski test tube jaisy
baaton mein uski glucose ki mithaas thi
saason mein ester ki khushboo bhi saath thi
aankhon se jhalkta tha kuch is tarah ka pyaar
bin piye hi ho jata tha alcohol ka khumar
benzene se hota tha uske presence ka ehsaas
andhere mein hota tha radium ka aabhas
nazrein mili, reaction hua
kuch iss tarah pyaar ka production hua
lagne lage uske ghar ke chakkar aise
nucleus ke chaaro taraf electron ho jaise
us din humare test ka confirmation hua
jab us ke daddy se humara introduction hua
sun kar humari baat wo aise uchal pade
ignesium tube mein jaise sodium bhadak utha
wo bole, hosh mein aao,pehchano apni aukaat
Iron mil nahi sakta kabhi Gold ke saath
ye sunke toota humara armano bhara beaker
aur hum chup rahe benzaldehyde ka kadwa ghoont pikar
ab uski yadon ke siwa humara kaam chalta na tha
aur lab mein humare dil ke alawa kuch jalta na tha

Saturday, 2 July 2011

Tere naam

Barso baad tera naam labon pe yoon aaya
                                               raat bhar aankh band rahi par neend na aaya
                                                        zindgi to jee lenge bin tere bhi
                 kya hua jo tera patthardil mera ho na paya 

Sunday, 12 June 2011

Aaina

Aiane mein kya dekhti ho sanam
har kisi ki aankhon mein aapki hi tasveer hai
foote the humare karam
ki aapke baap ke hath mein meri takdeer hai

Thursday, 12 May 2011

Kaash

Kaash aankhen na hoti humari
toh kabhi unka deedar na hota
chand mein agar daag na hota
to unki khubsoorti pe wo jal na raha hota
kaash humara dil ye jaan leta
pyaar se jeena dushwar hai hota
to aasuon ka humara yoon sailab na bhara hota

Monday, 25 April 2011

Tere bina

Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai
nigahon ko kisi soorat ki pyaas rehti hai
tere bina zindgi mein kami toh nahi
phir bhi tere bina zindgi udaas rehti hai

Monday, 11 April 2011

Dastaan

         Apni daastan kya bayan karoo main
  Ab to kishti doobne ko hai bas

Maa ke aanchal mein khela karte the
Ghar ka ladla ban ithlaya firte the
Padai ke chakkar ne beghar kar diya hume
Jab sirf 10 saal ke hua karte the
Maa ke hath ka khana aur papa ke kandhon se vanchit
Rote-rote humare saam guzra karte the

Jab pyaare doston se hua saamna
Kabhi mallika to kabhi Katrina sapno mein aaya karte the
Raat raat bhar wo ghumna shumna, rules todna
Suspend hona, ladkiyon pe comments karna
Humari shaan hitler ki tarah badaya karte the

Jab dreamgirl se hua saamna
Raaton ki neend aksar bhul jaaya karte the
Hum to unke ishq mein takiye bheegote the
Aur kaminey dost hume yoon hi badnaam kiya karte the
Khair wo hume mil na sake aur na hi mila IIT
Bhale hi Kota mein din raat 1 kiya karte the

College mein mili Pandavon ki 1 mast toli
Jiske arjun hum hua karte the
Sare gam bhul jaate zindgi ke
Jab 1 saath table pe baitha karte the
Humlog to shaitani nai karte fir bhi
Director baat baat pe stipend kaata karte the



Fir 1 bar us haseena se hua saamna
Izhaar ke jawab mein wo dil ke tukdo se kabbadi khela karte the
Unko bhulane ki koshish mein
Har ladki ko aankh mara karte the
Bahut ko ghumaya , kuch ko humane chora,hume kuch ne chora
Kyunki har raat us patthardil ki tasveer aankhon mein aaya karte the

Saasein chalti thi humari, unke dhadkano pe
Fir bhi jhooti muskaan ke aage mere aasu Sharma jaya karte the
Career ki bhi waat lag gayi
Subah hote hi sunhare sapne toot jaya karte the
Leta hoon maut ki shaiyya pe, ab to awaj bhi nai nikalti
Kabhi hum bahut bola karte the

Apni daastan kya bayan karoon main
Ab to kishti doobne ko hai bas..

Sunday, 10 April 2011

dil ka haal

Patharon ko dil ka haal sunane chala hoona
ruthi hui kismat ko manane chala hoon
wo bewafa na the, main badnaseeb tha
ye baat zamane ko batane chala hoon
sawan ki ghataon tum kal umadna
aaj to main aansu bahane chala hoon

Aksar

Aksar log puchte hain- Aakhir tu single hai kyun?
langoor ke hath mein bhi angoor hote hain
tere aankh mein aasu hai kyun??
 kya bataun dost-
Dil ke tukdo ko kisi se judwane ki kai bar koshish KI
par har bar jise patane chalo, use tukdo se tasveer dikh jati hai unKI
lakh samjhao, nahi, tum hi ho mere khwabon ki mallika
to kehti hain- kaminey tu nikla bahut bada tharKI
nikal le, warna police ko bulaungi
main kya, police ke naam se to fatti hai sabKI
ab to lagta hai, ta-umra hum rahenge single
soorat bhi na dekh payenge apne dulhan KI
zindgi khatm ho jayegi humari
research karte karte risky chemicals KI
narak ke hum loverboy honge
ab kise parwah is duniya KI
wahin aana dost, hum batayenge
kya ahmiyat thi humare life mein UNKI
aksar log puchte hain,,,,,,,

Saturday, 9 April 2011

muskaan

Muskurane ki wajah kya jane hum
hum to unki yaad ko taaza rakhte hain
kambakth ye hasi bhi aisy hai ki
unki judai mein bhi ro kar muskurati hai

Friday, 8 April 2011

nigaah

Meri nigahein tujhe is kadar doonda karti hain
jaise samundar mein chipa amrit ras ho tum
teri yaadein mujhe aise tadpaya karti hain
jaise afzal guru se bhi bade terrorist hain hum

Wednesday, 6 April 2011

Khwab

Aaj humne fir 1 paap kiya hai
gunaaho ke devta ne 1 kadam aage badaya hai
sochte the khawabon ki duniya se rahenge bekhabar
but kya kare jab khwab khud chal ke humare paas aaya hai

khayal

Kuch iss tarah tera khayal jal utha ki bas
jaise diya-salai jali ho andhere mein
ab phoonk bhi do, warna ye anguli jalayega

Saturday, 2 April 2011

meri height

Zindgi bhar saath nibhane ki khayi thi kasam
ek din unki jheel si aankhen thi nam 
par main poch na saka unke aasuon ko
kyunki meri height thi thodi kam

mera pyar

Iss dil ko bas aapki muskaan yaad aati hai
aur humari labon ko udaas kar jati hai
koi jab puche pyaar humara kitna hai
jubaan khaosh aur humari aankhen bhar aati hai

Friday, 1 April 2011

nadaan

Ae nadaan meri aadat nahi kisi aashiq ki sayri chaapna
vishwas nahi hota to 1 bar mere dil mein jhaakna
ro padega tu mera pyaar dekh ke
fir bhi samjh na aaye to apna dilo-dimag kutto ko de aana

Sunday, 13 March 2011

tukde


Unhone humare dil ke tukde karke is tarah sare-aam uchala tha
jaise sheeshe ka  ghar 1 pathar se chaknachur ho jata hai
mere nadaan dil ko us waqt kya malum tha
ye pyar se jeena dushwar ho jata hai

Wednesday, 9 March 2011

haseena

Aaj dil ke darwaje pe ek nayi haseena ne hai dastak diya
nadaan ko koi to batao humne apni saasein
1 bewafa ki dhadkano se hai jod liya

Monday, 7 March 2011

tadap

Sone ja raha hoon darling
sapno mein aake hume bechain na karna
agar itni chahat hai hume tadpane ki
toh  humare zanaze se pahle apni baarat bula lena

Sunday, 6 March 2011

Nasha

Sharab ka nasha kya humpe chade
hum to arse se unke ishq mein madhosh hain
viswas na hota to aankhen dekh lo humari
ye sharab nahi unki yaadon mein Gamgeen hain

Friday, 4 March 2011

Clusters

Hum kyun jale bhala kisi ki tarraki se
kya humari tanhai kam hai unki khushaali se



Agar unke ishq mein is kadar hum kayal na hote
to khuda kasam  ladkiyon ki to barsat kar dete
 

mausam ki najakat to dekhiye
din mein bhi hume suhane sapne aate hain
4 din se soch raha aaj leb report khatm kar daalon
par kambhakt nighaon ko screen pe sirf aap hi nazar aate hain


jab bhi khata hoon chicken aati hai teri yaad
mess walon ko 2-4 gaali deta hoon ki paisa ho gaya barbaad
puch aakhir chicken se tera kya hai taalukaat
arey kambhakt sara SPICE  to idhar hai
kya khaak aayega chicken mein swaad


aye nadan-e-saksh humare dil ki awaj ka yoon majak na bana
kabhi baith humari tanhayion ke saath
tab samjhega pyaar humara  hai bepanaah


Unhe ye shikayat hai humse ki 
hum har ladki ko dekh ke muskurate hain
nasamjh hain wo, kya jane
hume to har chehre mein wo hi nazar aate hain


Apne dil ke raaston ko aise band na kijiye
kyunki usi ki raah se humare saasein  bhi guzarte


Na bhook lage na pyaas lage jane kaisa rog hai ye
hum to samudra ke lahron se khelne ka hosla rakhte hain
but pata nahi kaisa ajeeb ehsaas hai ye


Chaap diya kisi diljale ki sayri ko aapne
par pucha to hoga nai kya dard hai unke rooh mein
ithla kar duniya ko dikha diya aapne
sayri karne ka kitna jajbaat hai aap mein


Dil jala kar muskurate ho tum
apni aadat se kahan baaj aate ho tum
puch liya sara raaz humara
apni har baat kyun chupate ho tum