Hum kyun jale bhala kisi ki tarraki se
kya humari tanhai kam hai unki khushaali se
Agar unke ishq mein is kadar hum kayal na hote
to khuda kasam ladkiyon ki to barsat kar dete
mausam ki najakat to dekhiye
din mein bhi hume suhane sapne aate hain
4 din se soch raha aaj leb report khatm kar daalon
par kambhakt nighaon ko screen pe sirf aap hi nazar aate hain
jab bhi khata hoon chicken aati hai teri yaad
mess walon ko 2-4 gaali deta hoon ki paisa ho gaya barbaad
puch aakhir chicken se tera kya hai taalukaat
arey kambhakt sara SPICE to idhar hai
kya khaak aayega chicken mein swaad
aye nadan-e-saksh humare dil ki awaj ka yoon majak na bana
kabhi baith humari tanhayion ke saath
tab samjhega pyaar humara hai bepanaah
Unhe ye shikayat hai humse ki
hum har ladki ko dekh ke muskurate hain
nasamjh hain wo, kya jane
hume to har chehre mein wo hi nazar aate hain
Apne dil ke raaston ko aise band na kijiye
kyunki usi ki raah se humare saasein bhi guzarte
Na bhook lage na pyaas lage jane kaisa rog hai ye
hum to samudra ke lahron se khelne ka hosla rakhte hain
but pata nahi kaisa ajeeb ehsaas hai ye
Chaap diya kisi diljale ki sayri ko aapne
par pucha to hoga nai kya dard hai unke rooh mein
ithla kar duniya ko dikha diya aapne
sayri karne ka kitna jajbaat hai aap mein
Dil jala kar muskurate ho tum
apni aadat se kahan baaj aate ho tum
puch liya sara raaz humara
apni har baat kyun chupate ho tum
No comments:
Post a Comment